Thursday, 29 January 2015

Main Aur Meri Tanhai

Here is another take inspired by Indispire edition 49  #Solitude - 
A poem in Hindi - Main aur Meri Tanhai

मैं और मेरी तन्हाई 



Main Aur Meri Tanhayi
Donon ka hai Gehra Saath,
Khushi Mein Hain Daman Failate, 
Gam mein Bhi Thamte haath,

Raat Hoti gar lambi Sheet ki,
Garm rakhte khwab meet se, 
Ubalte ujle grishm mein bhi,
Thandak dete bhunte man ko.

Main Aur Meri Tanhayi
Donon ka hai Gehra Saath,
Khushi Mein Hain Daman Failate, 
Gam mein Bhi Thamte haath,

Dard Ho gar gahre chot se, 
Wakt ke ye lep lagate,
Anandit, Prafullit man kar,
Bar Bar Jeewant Kar Jaate,

Main Aur Meri Tanhayi
Donon ka hai Gehra Saath,
Khushi Mein Hain Daman Failate, 
Gam mein Bhi Thamte haath,

Toot Ke gar bikhre til - til
Dil ko dil ki baat batate,
Nav man, Tarun tan kar, 
Uth kar nai rah chalate.


Aditya Sinha 
Aligarh
29.10.2015


Also posted in Hindi on my hindi blog page.
http://facetsofadihindi.blogspot.in/2015/01/blog-post_27.html

No comments:

Post a Comment